Gurdit

Jul 30, 2021

Pehchaan Aur Pata

Na raasto ko pehchaan hai,

Iss musafir ki, jo mai hu,

Na manzil ko pata hai,

Ki koi aa bhi raha hoga yaha.

Na shabdo ko pehchaan hai,

Iss kavi ki, jo mai hu,

Na iraado ko pata hoga,

Ki koi rootha hoga yaha.

Na asmaano ko pehchaan hai,

Iss baadal ki, jo mai hu,

Na panchi ko pata hoga,

Ki koi awaara hoga yaha.