top of page
Search

Anjaane Makaan

Baarish ki madham boondo mein,

Anjaane makaano ko apna ek pata diya hai,

Chaar dewaari si uss zameen ko,

Ghar ka darja diya hai.

Afsos hai kahin daba sa,

Unn khayalo ko thoda dafan kiya hai,

Aansu khushi ke hai ya gam ke,

Ghar ka aaj jo sajda kiya hai.

Shuruaat bhi hai toh kahin antt hai,

Dil ko ab yeh samjha liya hai,

Puraani yaado ko aaj fir,

Dabbe mein samet liya hai.


#GurDaGhar

words for the day

bottom of page