top of page
Search

Kya Karu

Aaj khudse hi kitne gile hai mere,

Kisi aur ko kya hi kahu,

Bol du ya chup rahu,

Koi batao ab mai kya hi karu.


Jeet mein bhi haar hai meri,

Kisi aur ko kya hi kahu,

Ladti rahu ya haar jau,

Koi batao ab mai kya hi karu.


Dil kitna bechain hai mera,

Kisi aur ko kya hi kahu,

Tootne du ya khud tod du,

Koi batao ab mai kya hi karu.



words for the day

bottom of page