Search
Waqt Thehra Rehta Hai
Woh kisi bahaane se haath pakad bhi leta hai,
Aur fir pakadkar kuch bhi nahi kehta hai,
Sab chalta rehta hai aaspaas,
Par waqt thehra rehta hai.
Woh kisi bahaane se paas aa hi jaata hai,
Aur fir nasdeek aakar chup sa ho jaata hai,
Sab chalta rehta hai aaspaas,
Par waqt thehra rehta hai.


Comments