top of page
Search

Beparwahi

Khamakha zamaane se keh diya kal raat maine,

Kyun naraaz hai woh,

Aisi meri kya beparwahi hai?

Toh zamaana keh gaya,

Ki mai badalo ko ched jaati hu,

Hawa ko behkati hu,

Raat mein yun fir,

Taaro ke beech,

Bas lafz dhoondhti reh jaati hu,

Toh kyun na beparwahi mein hi fir,

Thode se aansu bahati hu,

Par beparwahi se hi toh,

Uss chaand se keh jaati hu,

Kahaniyaan aisi beparwahi ki,

Subah bhool na paati hu,

Khamakha zamaane se yun,

Beparwahi kar jaati hu.

•••

raas aa gayi beparwahi.

words for the day

bottom of page