top of page
Search

Kaunsa Bahana

Aaj kaunsa naya bahana du mai khudko,

Na sochne ka tumhare baare mein,

Kyunki aaj fir koi puraani si baat,

Yaad achanak aa gayi hai.


Kal ke bahaane ab chalte nahi,

Dil mein bahut si jagah khaali hai,

Par dil ye bhara hua sa bhi toh hai,

Tumhari yaad achanak jo aa gayi hai.


Khair, chodo, tumhe pata hi toh hai,

Ab tumse kya bahane banau tumhe hi yaad karne ke,

Par woh kya bahana hai tumhara,

Jo tumhe meri yaad aati hi nahi hai.


Ya tumhara bhi roz naya koi bahana hoga,

Na aane ka yaha iss galli mein,

Kyunki nayi raahe mil jaane par,

Puraane mohallo ki yaad tumhe toh nahi aati hai.

song recommendation: kooch na kari



words for the day

bottom of page