Search
Samay Ka Pahiya
- Gurdit

- 1 minute ago
- 1 min read
Yeh jo pahiya hai na,
Samay ka,
Baaton ka,
Yaadon ka,
Woh firse ghoomkar wahi aa gaya hai,
Tere paas,
Mere paas.
Waisa hi kuch samay aaj bhi hai,
Par waisa samay toh kabhi nahi hoga ab.
Waisi baat aaj bhi hai,
Par woh baat toh kabhi nahi hogi ab.
Waise sab yaad aaj bhi hai,
Par woh yaad toh kabhi bhula nahi hogi ab.
Tu aaj bhi hai,
Par tu woh toh nahi hoga ab.
Mai aaj bhi hu,
Par mai woh toh nahi hu ab.




Comments