top of page
Search

Sawaal-Jawaab

Ek aur sawaal hai jo aaya hai khayal mein,

Tere jaane par sawaal maine kitne khudse hi jo puche hai,

Ek aur likh lo usski hi kitaab mein,

Jiske jawaab tune na kabhi dene hai.

Hai bhi kya koi aisa jawaab,

Jo kehke tujhe mai firse apna lu,

Aisa hai bhi kya koi jawaab,

Jo sunke mai saari naraazgi bhula du?


Ek aur sawaal hai jo aaya hai khayal mein,

Kaise puch lu tujhe,

Yeh mai khudko kaise bata du,

Jawaab toh ab nahi milenge yeh pata hai,

Fir kya hi tujhe mai bewajah saza du.


words for the day

bottom of page